Allah kay fazal o karaam say aur ap sab ki duaoon Im better now and especially thanks to arif nawaz !ap nay meray liye dua ki request ki Sarkar ap ko duniya bhar ki khushiyaan dein aur umar-e-daraz ata farmaien ameen suma ameen!
Ishq kyaa hai, chaut khaa kar ham ne ye jaanaa tu kyaa
apnaa sab kuch kho ke ham ho bhi gaye daanaa tu kyaa
sham’a ke nazdeek is ki koi bhi vaq’at nahin
Khaak mein Khud ko milaa Daale jo parvaanaa tu kyaa
ye bhi mere vaaste ik be-bahaa aizaaz hai
ishq mein jaan se gayaa tera ye deewaana to kya
tishnagi meri, meri Ghairat ki taabedaar hai
main na mangonga, nahin miltaa jo paimaanaa to kyaa
saaqiyaa! hum tishna.kaamii ke bhi aadi ho chuke
band ho hum par agar ab baab-e-maikhaana tu kyaa
baadshaahoon ko bhii de dein ham sakhaavat ka sabaq
hai hamaari zindagi kaa dhab faqeeraana to kyaa
lo, farishte maut kaa paighaam le kar aa gaye
ab maseeha nay hamaara rog pehchaanaa to kyaa!
un ki nazarien dey rahi hain hum sey nisbat ki Khabar
saamnay se vo jo guzrien be-niyazana to kya
ghar se niklengey to chaadar beyhisii ki orh kar
ishq ho gayaa apna jo afsaana to kya