KKF
December 25, 2015, 3:02am
1
salaam dosto,
ummeed hai k mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge.
ek 'arsa_haa-e-daraaz ke ba’d apnii ek Ghazal aapkii ‘aaraa je liye pesh-e-Khidmat kar rahaa huN gar aapkii taba’-e-naazuk par baar-e-giraaN na guzre.
to, Ghazal mulaaHizah farmaaiye:
**1.
'ishq kii aah o zaariyaaN na gaiiN
Husn kii dil_farebiyaan na gaiiN
aaii peerii, gaye shabaab ke din
phir bhii ulfat_sho’aariyaan na gaiiN
aaNkhoN aaNkhoN meN kah diyaa sab kuchh
'ishq kii be_zabaaniyaaN na gaiiN
din to juuN tuuN guzar gayaa, lekin
raat kii be_qaraariyaaN na gaiiN
zabt kis tarHa ho sake, jab k
dil kii be_iKhtiyaariyaaN na gaiiN
huuN guneh_gaar phir bhii baKhshish kii
dil se ummeed_vaariyaaN na gaiiN
bandagii ko bhulaa diyaa maiN ne
unkii banda_navaaziyaaN na gaiiN
Shai’Kh_Ji tum se sab gayaa, lekin
jhooTii parhez_gaariyaaN na gaiiN
maut sar par khaRii hai, “Sai’hbaa-Ji!”
phir bhii rangiiN_bayaaniyaaN na gaiiN**
faqat Khaak_nashiiN,
_______KKF
Re: 'ishq kii aah o zaariyaaN na gaiiN…merii ek Ghazal
Bohat umda likha hai apne janab
or
apki khalis urdu ki jitni pazirae ki jae kam malom hoge
mukhtasiran
bohat khoob
Anjul
December 25, 2015, 4:44pm
3
Re: 'ishq kii aah o zaariyaaN na gaiiN…merii ek Ghazal
Shandar zabarjast zindabad! Saatva toh bohatai kamaal hai
KKF
December 25, 2015, 5:39pm
4
Re: 'ishq kii aah o zaariyaaN na gaiiN…merii ek Ghazal
Hausalah-afzaaii aur ta’reefii kalimaat ke liye banda teh-e-dil se shukria adaa kartaa hai.
KKF
December 25, 2015, 5:41pm
5
Re: 'ishq kii aah o zaariyaaN na gaiiN…merii ek Ghazal
bahot bahot haardik dhanyavaad, Mahaashai!
btw, yeh merii post number 55555 thi!
Anjul
December 25, 2015, 6:01pm
6
Re: 'ishq kii aah o zaariyaaN na gaiiN…merii ek Ghazal
@KKF 5 apka fav number h kya
Azad
March 16, 2016, 3:03pm
7
Re: 'ishq kii aah o zaariyaaN na gaiiN…merii ek Ghazal
hummm khoob
KKF
March 16, 2016, 5:31pm
8
Re: 'ishq kii aah o zaariyaaN na gaiiN…merii ek Ghazal
bahot bahot haardik dhanyavaad, Mahaashai!
btw, yeh merii post number 55555 thi!
all FIVES look great, don’t they?
btw, i like ‘ODD’ numbers. next number will be: 66666
thank you.
Anjul
March 16, 2016, 5:50pm
9
Re: 'ishq kii aah o zaariyaaN na gaiiN…merii ek Ghazal
Takhallus “Sai’hbaa-Ji!” kyu hai?
KKF
March 16, 2016, 6:33pm
10
Re: 'ishq kii aah o zaariyaaN na gaiiN…merii ek Ghazal
Saihbaa was the taKhallus of one of the poets in my village who was a great post but not known to the world. he was so good that he received a pension [meant for artists/poets] from the UP government.
since i liked his poetry and his taKhallus, i adopted it after his death. he was my dad’s very close friend. my dad was also an unknown great poet. they had close relationship with AsGhar GonDvii who was their ustaad. Jigar Moradabadi was also AsGhar’s student. Sarojini Naidu, Sir Tej Bahadur Sapru and Firaq Gorakhpuri used to get together in Allahabad for private poetic sessions at least once a month. Amitabh Bachchan’s dad, Harvansh Rai Bachchan, also used to participate with his Hindi rachnaayeN which was very much liked by all.
Anjul
March 16, 2016, 8:15pm
11
Re: 'ishq kii aah o zaariyaaN na gaiiN…merii ek Ghazal
Good to know that you are paying a tribute to him in this way :k: