Ishq Kia Hay??
**Ishq kia hay!!!
E’alaan hay
Apni zaat sy dast`burdari ka
Samaan hay
Apni ana ki rukhsati ka
E’atraaf hay
Apni gumshodgi ka
Eshtehaar hay
La’ta’aluqii ka apney aap sy
Eshq kya hay
A’adaab-e-ghulaami ki tafseel
Jaa ko sokhta bana`ny wala pahaRr
Zindagii bun ker
DoRrney waley lahoo mein
Roshni bun ker
Roshan rehny wala Ala’ow
Tinka tinka si yeah zindagi
Aa’n ki aa’n mein jakarti hay
Dukh aur ghum k dozukh mein
Phir koyla baney to khatum ho qissa
Aur raakh baney to
Chootey jaa apni…Wajood se apni
Han! yeah hi hay ESHQ
Bhuladena apni husti ko
Aur otar jana rooh mein
Kisi aur ki
Baandh lena dor sans ki apni
Oss ki sanson sy
Kerdyna mudghum apni husti ko
Osski hasti mein
Chupker baith jana
Osski rooh ki geh-raiyon mein
Aur toRr lena apna her naata
Wajood sy apney
Ishq yeah hay!!!
**