yaaraan-e-bazm: tasleemaat!
humare aik bahut he kareebi dost janab Sawar sb ne yeh ghazal likhi hai main ne sochaa ki aap logo ke saath share kii jae..Ghazal pesh hai, aap se izhaar-e-Khayaal kii guzaarish ke saath!
**GHAZAL
koyee tum saa ho kaj-adaa nah kaboo!
ek wa'dah kiyaa wafaa nah kaboo!
zaKhm-e-dil, zaKhm-e-jaan, zaKhm-e-jigar
lohoo aisaa kaheeN bahaa nah kaboo!
ek daryaa-e-dard-e-be-paayaaN
"i'shq kee paayee intihaa na kaboo"!
koochah koochah, galee galee dekh`aa
aah! apnaa patah milaa nah kaboo!
sochtaa kaun intihaa kee jab
raas hee aayee ibtidaa nah kaboo?
tujh` ko dekh`aa to yooN huwaa meHsoos
tujh` saa koyee kaheeN milaa nah kaboo!
aise Khud-aashnaa huwe haiN ham
yaad aayaa hameN Khudaa nah kaboo!
ho nah ho us galee se aayee hai
aisee gul-paash th`ee Sabaa nah kaboo!
zindagee kee hazaar raahoN meN
kyoN milaa koyee raastaa nah kaboo?
jaisaa a'ajiz hai aap kaa "Sarwar"
aisaa koyee ho be-nawaa nah kaboo!
=======================
Sarwar **