Ishq kaisa kay bharoosa bhi nahi tha shaheed
Iss say mera koie rishta bhi nahi tha shaheed
Khalqat-e-shehar main jis har kay charchay hain bohat
Main voh bazi kabhi kheela bhi nahi tha shaheed
Zeest karnay kay sab andaz ussay azbar thay
Mujh ko marnay ka saleeqa bhi nahi tha shaheed
Khak uratay hua bazaroon main dekha sab nay
Main kabhi ghar say nikalta bhi nahi shaheed
Iss ki ankhoon main Basharat thi nayie khaboon ki
Main ussay dekh kar chonka bhi nahi tha shaheed
Aik badal kay meray nam say mansoob hua
Meray sehra main to barsa he nahi tha shaheed