http://i28.tinypic.com/qnpoyf.jpg
Us ne khat mein
Ishq ka matlab pooch liya hai
Mein ne likha hai … !
Jab koi chehra dheyaan mein aa kar
Man-aangan mein phool khila de
Jab koi naam laboon ko choo kar
Dharkanoo ko tarteeb bhula de
Jab koi jazba kaar-e-junoon se
Aatish ko gulzaar bana de
Lekin itna dheyaan mein rakhna
Koi siraat-e-ishq se guzray
Tab khulta hai
Ishq se pehlay Ishq ka matlab
Kab khulta hai … ?