**
Us-nay khat main ishq ka matlab pooch liya hai
Main-nay likha
Jab koi chehra dheyaan main aa-kar
mann aangan main phool khila day
Jab koi naam labo'n ko chuu kar
Dhadkan ki tarteeb bhula day
Jab koi jazba kaar-e-junoo'n say
Aatish ko gulzaar bana day
Laikin!
Itna dheyaan main rakhna
Koi siraat-e-ishq say guzray tab khulta hai
Ishq say pehlay ishq ka matlab kab khulta hai **
mashallah sey ishq 1 and ishq 2 well ishq ki aik hi manzil kaafi nahin ghaurri ;) hum aik hi ishq main khatum hojatay hain aap part 2 ko kaisay bardasht karchukay hain ;)
any ways nice ghazal and thanks for sharing ishq no 1 and 2!