Re: Ishq aazaar aur Honey Moon Period
itnay mushkil mushkil sawal
pehlay khameera e gao zabaan ambari jawahir daar jesay kisi muqawwee e dil o damagh ki char chay botlain khatm karnay dain, phir shayad kuch jawab day sakoon.. ![]()
muhabbat shayad aazar tab banna shro hoti hay jab umeedain poori na hoon aur andazay ghalat sabit honay lagain.. aur logon k paas giraftar e bala honay k liay apni apni wajoohat hoa karti hain.. koi shoqiya hojata hay to koi ittafaqiya, kaheen majboori mubtala e ishq karwa deti hay to kisi ko hadsaati taur par is tofan e bala khaiz ki mojain nigal leti hain.. kisi ka khameer he ishq k aatay say gundha hota hay to koi dosron ki dekha kekhi is rastay par chal parhta hay.. gharz ye kay jitnay munh utni batain aur jitnay aashiq utnay asbaab..
umeed hay k aap ki uljhan main do char kilo ka izafa hogaya hoga.. aur yahi mera maqsad tha .. ![]()