salaam dosto,
kaise mizaaj haiN?
kia kisii ko lafz **ISHKIYAA **kaa saHeeH matlab kia hai?
good luck N happy maGhaz maaring! ![]()
regards
_______KKF
salaam dosto,
kaise mizaaj haiN?
kia kisii ko lafz **ISHKIYAA **kaa saHeeH matlab kia hai?
good luck N happy maGhaz maaring! ![]()
regards
_______KKF
Re: ISHKIYA kia kia matlab hotaa hai?
Khufiya ishq
Re: ISHKIYA kia kia matlab hotaa hai?
Khan Sb… Kaaf hai ya Qaaf hai ishkiya main?
Re: ISHKIYA kia kia matlab hotaa hai?
lol…Khufia 'ishq ko to ‘nain maTakka’ kahte haiN na? ![]()
ab yeh faisla aap kareN. ![]()
Re: ISHKIYA kia kia matlab hotaa hai?
bagher Q aru K kay koi decision nahi lai sakta hia… iss baat ka ibham dor karain…
Re: ISHKIYA kia kia matlab hotaa hai?
its sounds like madeup word like jokela
![]()
Re: ISHKIYA kia kia matlab hotaa hai?
yeh ibhaam iKhtitaam par raf’a kiyaa jaayegaa kiuN k agar abhii kar diyaa to bhaanDaa phooT jaayegaa! ![]()
aji, maiN is 'umr meN kia mazaaq karuuNgaa? ![]()
Re: ISHKIYA kia kia matlab hotaa hai?
umr kay hisab say tau tauba banti hai mazak nahn…paar chajjay wali sarkar tuada ke pata;)
Re: ISHKIYA kia kia matlab hotaa hai?
Feroz u Lughaat main to aisa koi word nahin ![]()
Re: ISHKIYA kia kia matlab hotaa hai?
Khalil Khan nayn us Londi ke sath “ISHKIYAA” andaz mein guftagu Ke…![]()
Re: ISHKIYA kia kia matlab hotaa hai?
so wherefrom you got this world? Iskiya or deRh ishkiya?
Re: ISHKIYA kia kia matlab hotaa hai?
kahiiN paRhaa thaa kabhii…iskii hijje yuN hai:
alif, sheen [zabar], qaaf [zer], ye, alif [Ashqiyaa]
**
Hint:** It’s a plural for something! ![]()
Re: ISHKIYA kia kia matlab hotaa hai?
shaq ul qalb wala?
Re: ISHKIYA kia kia matlab hotaa hai?
yeh shaqq ul qamar yaa shaqq ul baHr waalaa shaqq nahiiN hai. ![]()
Re: ISHKIYA kia kia matlab hotaa hai?
to kia nateeja nikla?
Re: ISHKIYA kia kia matlab hotaa hai?
Khan Sb nay yeh nahi bataya kay chota kaf hai ya bara Qaf…
Re: ISHKIYA kia kia matlab hotaa hai?
bilkul durust jawaab hai…
Mahool: maiN ne zaraa jaan boojh kar isko seGha e raaz meN rakkhaa taa k log ise ishq se joR deN yaa phir shakki kii jam’a bataayeN…
shakkii nahiiN bal k shaqi! ![]()