jin logo ne yeh faisla ker liya hia ke haraam haraam nahi hai balkay halaal hai to baat hi khatam ho jaati hai un ke saamney kisi bhi kisam kaa Islamic system rakh diya jaaye woh us ko mannay waley nahi hain kyoon ke us mein un kaa nuqsaan hai .Payaray Nabi ke zamanay mein bhi kuffar is baat ko nahi mantay they kyoon ke us mein un kaa nuqsaan hota thaa.Yeh soud kaa nizaam aaj ka nahi hai balkay Hazoor (p.b.u.h.) ke zamanay mein bhi yeh exist kerta thaa aur aaj ke modren log yeh samjhtay hain ke yeh modren economy ke paida kiye hoay challenges hain.
Ghazwaae Badr se pehlay Abu Sufyaan kaa jo kafla samaan ley ker aa raha thaa us mein pooray kuffar-e-makka kaa paisa invest hoa thaa aur yeh sari investment unhon ne credit aur sood per liye hoaa thaa jo aajkal ke zamanay mein bhi hoti hai.
naa mein islamic financing ke liye kaam kerti hoon naa hi mein ne un se loan liya hai lekin mera kayaal hai ke agar aap soud se bachan chahtey hain to Islamic financing hi America mein wahid option hai .
Mein ne Islamic financing to bohat detail mein parha hai agar aap ko Islamic financing ki basics samjhni hain to “mufti Taqi Usmani” ki books parhein.Meray kayaal mein aap ko Islamic finances ke basics and concepts nahi pata hain pehlay samjh ker aayein meray pass itna phaltoo time nahi ke un logo ke saath mein apna time zaya karoon jo haraam ko haraam nahi samjhtay.
Hazrat Mohammad (p.b.u.h.) ke zamanay mein jo ARAB TRADITIONS sahi theen un ko Hazrat Mohammad (p.b.u.h.) ney rehnay diya aur jo ghalat theen un se mana ker diya kyoon ke ARABS hi mein bohat puranay zamanay se Anmbia chalay aa rahey hian aur un mein anmbia ki rawayaat maujood theen jo AHLE AHNAAF follow kertay they.Aur Hazrat Mohammad ke anay ke waqt sab mushriq nahi they eik tabqa ahley Ahnaaf thaa aur yeh rawayaat un se aa rahi hian.Aur agar yeh rawayat ghalat hoti to Hazarat Mohammad (p.b.u.h.) ko kabhi Hazrat haleema doodh naa pilaaten kyoon ke nabi paida hotay saath nabi hota aur woh koii aisa kaam nahi kerta jo ke baad mein shariah mein haraam ho jaaye.
[/quote]
meray paas aap ke liye bohat saarey sawaalaat hain pehlay aap in ke jawaabaat dein.![]()