Is terhan soee hain aankhain jagtay sapnoo kay sath
Khawahishain lipte hon jesay band darwazon kay sath
Raat bhar hota raha us k aanay ka gumaan
Aisay takrate rahi thandi hawa pardon kay sath
Ek lamhay ka taluk umer bhar ka roog hai
Dordtay phirtay raho gay bhagtay lamhon k sath
Main usay aawaz day kar bhi bula sakta na tha
Is terhan tutay zuban k rabtay lafzon kay sath
Dil dharakta he nhi hai us ko paa ker bhi NASEEM
Kis kadar manoos hai yeh nit naye sadmoo kay sath . . .