Is sey pehlay kay shaam ho jaye…

Is sey pehlay kay dust-e-imkaan main
Wasl-e-JanaaN ki aarzoo na rahey
Is sey pehlay kay baar-e-ghum sey kahin
Tujh ko paaney ki justujoo na rahey
Is sey pehlay kay dusht-e-kahish sey
Fursh-e-afsurdagi bichey sur-e-raah
Loot aao kay muntazir hai nigaah
Is sey pehlay kay looh-e-kismat per
Baab-e-ulfut tamaam ho jaye
Is sey pehlay kay shaam ho jaye…

very nice...

Wahh :k:

sweet

bhoot acha :)

Loot aao kay muntazir hai nigaah
Is sey pehlay kay looh-e-kismat per
Baab-e-ulfut tamaam ho jaye
Is sey pehlay kay shaam ho jaye…

khoob, thanks for sharing :k: :k:

btw aap ki shaam kitnay bajay hoti hay?

Beautiful.... thanks for sharing....

meri shaam aap ki shaam k do ghuntey baad hoti hai..:wink:

Thanx All :slight_smile:

Re: Is sey pehlay kay shaam ho jaye…

[QUOTE]
Originally posted by ** Vivacious ***: *
Is sey pehlay kay dust-e-imkaan main
Wasl-e-JanaaN ki aarzoo na rahey
Is sey pehlay kay baar-e-ghum sey kahin
Tujh ko paaney ki justujoo na rahey
Is sey pehlay kay dusht-e-kahish sey
Fursh-e-afsurdagi bichey sur-e-raah
Loot aao kay muntazir hai nigaah
Is sey pehlay kay looh-e-kismat per
Baab-e-ulfut tamaam ho jaye
Is sey pehlay kay shaam ho jaye…
[/QUOTE]

Wahh, Zabardast.....Keep it up

[QUOTE]
Originally posted by ** Vivacious ***: *

meri shaam aap ki shaam k do ghuntey baad hoti hai..;)

Thanx All :)
[/QUOTE]

to phir aap do ghantey pehlay aya karain na

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *

to phir aap do ghantey pehlay aya karain na
[/QUOTE]

jo hukum janaab, :)

Thanx MdM :)