Is Muflisi main Karta Nahin Koi Baat Bhi

Is Muflisi main Karta Nahin Koi Baat Bhi
Jooti Pe Maarti Hai Shareek-e-Hayaat Bhi

Yak-Tarfa hai Mutaalba-e-Ishq,Pochiye
Taali Kaien Baji Hai Bhalaa Ek Haat Bhi

Unka hai Munh Udhar To Hamaara Hai Munh Idhar
Kal Raat Jo Huaa Wahi Aaj Raat Bhi

Badlaa Zaroor Miltaa Hai Har Kaam Ka Yahaan
Jo Laat Marta Hai Woh Khaata Hai Laat Bhi …

:konfused:

aap ko akser is halaat main dekha hai main nay ..aap kisi acchay doctor ko kyun nahin dekhatay :slight_smile:

[QUOTE]
*Originally posted by koiDost: *

aap ko akser is halaat main dekha hai main nay ..aap kisi acchay doctor ko kyun nahin dekhatay :)
[/QUOTE]

dekte nahi ho par baat samajh daron wali kartay ho, aap lay aao doctorni hum daikha dayte hain

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *

dekte nahi ho par baat samajh daron wali kartay ho, aap lay aao doctorni hum daikha dayte hain
[/QUOTE]

woh marz apni jaga yeh dosra marz hai jis k liye aap ko Doctor Sahab ko dekhan pare ga :)

aap to pakarr hi baitt gay ho bat ko

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
aap to pakarr hi baitt gay ho bat ko
[/QUOTE]

main nay kisi ko nahin pakra sirf jawab diya hai

Bohat khoob..... aap ke is ghazal say yaad aya

Jata hoon pur umeed paltata hoo na murad
Majboor admi ke dua ban giya hoon main
Latka howa hoon apnay badan ke saleeb par
Esa taray janoon ke saza hoo giya hooon main

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Bohat khoob..... aap ke is ghazal say yaad aya

Jata hoon pur umeed paltata hoo na murad
Majboor admi ke dua ban giya hoon main
Latka howa hoon apnay badan ke saleeb par
Esa taray janoon ke saza hoo giya hooon main
[/QUOTE]

Bohat khoob :)

:)