Zameen thee mairee magar asmaan us ka tha
Is lie mujay khud par guman us ka tha
Main ab jo dhoop may chalta hu us ka hay karam
Main jis ki chaoon may tha sai-baan us ka tha
Wo jis nay muj ko hamesha he daala mushkil main
Ye pehli baar tha kay imtaihaan us ka tha
Wo jis kay wastay larta raha tah main sab say
Mairay khilaaf he har aik bayaan us ka tha
Tha kis qadar mairay is jisam may tazaad ai dost
Kay dil tu maira tha lekin makaan us ka tha
Tu maire jaan hay ye bhi us ka kahna tha
Tu zakhm-e-jaan hay ye bhi baayan us ka tha
Jo roshne ka mukhalif tha shehar may atif
Tamam shehar say roshan makaan us ka tha
another one posted by me today…may be i will not able to do 2morow..is lie quota pora
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/tongue.gif
…batana aaap dost kay kaisi lage
AH
~kHaBeeS~