Zakhm jo aap ki inaayat hai, is nishaani ko naam kya dain hum
Pyar dewaar ban ke reh gaya hai, is kahaani ko naam kya dain hum
Aap ilzaam dharr gaye hum per, ek ehsaan kar gaye hum per
Aap ki yeh bhi meharbaani hai, meharbaani ko naam kya dain hum
Aap ko yun bhi zindagi samjha, dhoop ko hum ne chaandni samjha
Bhool hi bhool jis ki aadat hai, is jawaani ko naam kya dain hum
Raat sapna bahaar ka dekha, din huwa tu ghubaar sa dekha
Bewafa wakt be-zubaan nikla, be-zubaani ko naam kya dain hum
Pyar dewaar ban ke reh gaya hai, is kahaani ko naam kya dain hum …
Zakhm jo aap ki inaayat hai, is nishaani ko naam kya dain hum …