Daagh
1
**
soz-e-gam deke mujhe us ne ye irshaad kiya
jaa tujhe kash-ma-kash-e-dahar se azad kiya
dil ki choton ne kabhi chain se rahne na diya
jab chali sard hava main ne tujhe yaad kiya
is ka rona nahin kyon tumne kiya dil barbaad
is kaa gam hai ki bahut der mein barbaad kiya
mujhko to hosh nahin tumko khabar ho shaayad
log kahte hain ki tumne mujhe barbaad kiya
itna maasoom huun fitarat se, kali jab chatki
jhuk ke main ne kaha, mujhse kuch irashaad kiya
vo tujhe yaad kare jisne bhulaya ho kabhi
humne tujh ko na bhulaya na kabhi yaad kiya
**
couple of shairs from the above ghazal are sung by Ghulam Ali saab…
here they are
16928.Josh Malihabadi
this is beautiful...I always liked it. Thanks for sharing.
vo tujhe yaad kare jisne bhulaya ho kabhi
humne tujh ko na bhulaya na kabhi yaad kiya
*dil ki choton ne kabhi chain se rahne na diya
jab chali sard hava main ne tujhe yaad kiya
*
Boht khoob daagho uncle :k: 
Koyal
6
:k:
PS: suchi se koyal ne aisa nehi kia

Daagh
7
couple of shairs from the above ghazal are sung by Ghulam Ali saab...
here they are
16928.Josh Malihabadi
Daagh
8
many thanks all for reading and appreciating :)