is it necessary to LOVE the person your going to marry?

Re: is it necessary to LOVE the person your going to marry?

Zaroori naheen kay love ki zaroorat na ho arranged marriage main. Love to her jagah zaroori hai. Love hona achchi baat hai balkay bohat hi achchi baat hai. Laikin yak tarfa love aur doosri side say dushmani ya budtamizi bilkul achcha naheen.

Love agar mill jaay I mean suchcha love khuwah arranged ho kay love to phir to kia kahnay. Both pary suchchay love main giraftaar hon to phir to us jori ka jawab naheen.

Laikin aksar yaktarfa love hota hai do tarfa naheen. Agar do tarfa ho bhi to zaroori naheen kay dono side say suchcha pyar ho.

Suchcha pyar to khush naseebo ko milta hai. Yani aisi larki “NASEEBO LAAL” kah laay gi. lol

  1. Jis baat ya cheez ko aap say ziada ahmiaat detay hain. In other words wo Jismani khoosiaat jis ko aap sub say ziada ahmiaat detay hain. (color, eye, qud, jisaamat waghaira waghaira).

  2. Taleem duniawi aur agar aap deeni ko ahmiaat detay hain to. Warna clash ho ga bahtar hoga kay apnay type ka dhoondhay jaisay aap agar bayparda daar hain aur ainda bhi parda karnay ka koi irada na ho to kisi mazhabi ko hargiz choose na karain. Is liaay kay ussay bayghairtiaan pasand naheen ain gi wo mana karay ga aap sunain gay naheen to jhagra ho ga. Us ka mana karna bhi aap ko zulm lagay gay.

I personaly don’t like kay pehlay to apnay say opposite tarha kay person say shadi kar lo aur baad main jhagro. Pehlay hi kioon na apnay type kay logon say shadi karain. Koi masla naheen ho ga.

Jin larkion ko apnay type ka koi milta naheen aur majboori main opposite type kay person say shadi kar leteen hai wo bhi ghalat hai.

Ub main shadi kar loon aik tight kapray ya baray galay ya kundhay khulay kapray pehannay wali say aur phir kahoon kay burqa pahnon aur scarf pehnon to yay ghalat ho ga. Halankay main to us kay liaay aur apnay liaay donon kay liaay sahi aur achchi baat kahoon ga par ussay to lagay ga kitna bara zulm kar dia aur blah blah blah. Ussay samajh hi naheen aay ga kay achcha kaam kaha hai.

  1. Apnay type ka ho. Agar exactly naheen to kisi hud tuk.

  2. Khandaan aur unkay tor tareeqay.

Yeah love does help agar do tarfa aur suchchi mohabbat ho to. Haqeeqatun aisa shaaz o nadir hi hota hai.

LOL

ha ha ha ha.

She is not actually good but the best moderator lol.

In Arrange marriage there could Love too.

Buchchon jaisi baat kahi hai Last line.

Agree aur jis tarha bhi khol sakta hai.

You are so very wrong. It all depends on a person. Love might be in arranged marriage.

Respect aur trust to her jagah honi chahyay. Love main bhi aur arrange main bhi.

Again you are very wrong kay 20 years or soooo main love ho sakta hai. Daikhay baghair shadi say pehlay bhi ho sakta hai.

LOL

Zabardast.