Iss basti kay ik koochay mai, Ik Insha naam ka dewanaa.
Ik naar peh jaan ko haar gaya, Mashoor hai uska afsana.
Us naar mai aisa roop na tha, Jis roop se din ki dhoop dabbay.
Is sheher mai kia kia gori hai, Mehtaab rukhay, Gulnaar labay
Kuch baat thi uski baaton mai , Kuch bhaid thay uske chitwan mai
Wohi bhaid keh jout jagatay hain , Kisi chahne wale k mun mai
Ussay apna bananay ki dhun mai, Hua aap hi aap se beganaa
Iss basti kay ik koochay mai , Ik Insha naam ka dewaana.
Na chanchal khail jawani kay, Na pyaar ki alhar ghaatain thin
Bas rah mai unka milna tha , Ya phone peh unki baatain thin.
Is ishq peh hum bhi hanstay thay, Behasil sa , behasil tha
Ik zor biphartay sagar mai, Na kashti thi , na sahil tha.
Jo baat thi un ke dil mai thi , Jo bhaid tha yaksar anjanaa
Iss basti kay ik koochay mai, Ik Insha naam ka dewanaa.
Ik roz magar barkha rut mai, Wo sawan tha ya bhaadon tha.
Dewaar peh beech samandar ke, Yea dekhnay walon ne dekha
Mastana hath mai hath deay , Wo aik kagar par bethay thay
Yun sham huee, phir raat huee, Jab sailani ghar lout gaey.
Kia raat thi wo jee chahta tha , Us raat peh likhain afsana.
Iss basti kay ik koochay mai, Ik Insha naam ka dewanaa
Haan umer ka sath nibhane kay, Thay ehad buhat pehmaan buhat
Wo jin peh bharosa karne mai, Kuch sood nahi nuqsaan buhat
Wo naar yea keh k dour huee, Majboori sajan majboori …
Yea wehshat se ranjoor huay , Aur ranjoori si ranjoori
Us roz humay maloom hua , Us shakhs ka mushkil samjhana
Iss basti kay ik koochay mai , Ik Insha naam ka dewanaa
Go aag se chhaati jalti thi, Go ankh se darya behta tha.
Har aik se dukh nahi kehta tha, Chhup rehta tha, Gham sehta tha
Naadan hain wo jo chairtay hain, Is aalam mai dewanon ko
Us shakhs se aik jawab mila, San apnon ko beganon ko
Kuch aur kaho to sunta hun, Is baab mai kuch nahi farmanaa
Iss basti kay ik koochay mai , Ik Insha naam ka dewanaa
Ab agay ki tehqeeq nahi, Go sun nay ko hum bhi suntay hain
Us naar ki jo jo batain hain, Us naar kay jo jo qissay hain
Ik shaam jo us ko bulwaya , Kuch samjhaya becharay ne
Us raat yea qissa pak kia, Kuch kha hi lia dukhyaray ne
Kia baat huee kis tour huee, Akhbaar se logon ne jana
Iss basti kay ik koochay mai , Ik Insha naam ka dewanaa
Har baat ki khoj theek nahi, Tum hum ko kahani kehnay do
Us naar ka naam muqaam hai kia, Is baat ko parda rehnay do
Hum se bhi soda mumkin hai, Hum se bhi jafa ho sakti hai
Yea apna bayan ho sakta hai, Yea apni kathaa ho sakti hai.
Wo naar bhi akhir pachtaee, Kis kaam ka aisa pachtana
Iss basti kay ik koochay mai, Ik Insha naam ka dewanaa.