Is anything left in this nazm....

I love this poem, but idon’t know whether it’s complete and the lines are in order or not.If anyone heard it then plz. correct the sequence…

Yunhi bay-sabab na phira karo, koi shaam ghar main raha karo

Woh ghazal ki sachi kitaab hai, ussay chupkay chupkay parha karo

Koi haath bhi na milaey ga, jo galay milo gey tapak say..

Yeh naey mizaaj ka shehr hai, zara faasilay say mila karo

Abhi rah main kaee more hain, koi aaey ga koi jaey ga

Tumhain jis nay dil say bhula diya, ussay bhoolnay ki dua karo

Mujhay ishtihaar si lagti hain yeh mohabbaton ki kahaniyan

Jo kaha nahi woh suna karo, jo suna nahi woh kaha karo!

Kabhi husn pardah naseen bhi ho, zara aashiqana libaas main

Jo main ban sanwar kay kahin chalon, merey saath tum bhi chala karo

Nahi bey hijaab woh chaand sa keh nazar ka koi asar na ho

Ussay itni garmi e shoq say barri dair tuk na taka karo!!!

by Basheer badar

i think its complete.. thanks for sharin.. really luv this ghazal :k:

:k:

Thanks alot :)