Irtiqa

kuch aiteraaz hai
kuch ikhtilaaf
gar aaj is mushkil mai daal hi diya hai
to suno…suno k mai ek jhoot hoon
ek moon bolta …moo phat jhoot
mai bhee aur tum bhee…jhoot
yeh gird-o-nawa ka shaoor
jang-o-aman k pech-o-kham
yeh tajasus-e-dil-o-deemagh
peer-o-alam
ustad-e-muhtaram
yeh raasta dikhanay walay
sab jhoot hayn..jhoot hayn
mai bhi aur tum bhi
yeh baatein shayad samjh na pao
k nazar faqat shanas hay
mustarid roshini ko sach jannay ki
haqeeqat mannay ki
ALFAAZ K MADAR MAI
…ALFAAZ HI ALFAAZ HAIN…
ALFAAZ K IS BHANWAR MAI ALFAAZ KI TALAASH HAI…
ALFAAZ SE TO SOCH HAI…
YEH BAATEIN SHAYAD SAMJH NA AYAY…
K YEH ALFAAZ BHI TO JHOOT HAIN…
SAB JHOOT HAY…
MAI BHI AUR TUM BHI…

gar aaj iss raat ne parda chaak ker hi diya hay
to sunooo… sunoo … aur sun lo…
k yeh raat iss dil se zubaan chahtee hay
yeh raat iss subah-e-tareek se panah chahtee hay
har woh soch jo alfaaz se mashroot hay
yeh raat uss soch ki karee saza chahtee hay
yeh raat har uss halat ki maut chahti hay
jo ishq k badley KHUDA chahtee hay
yeh raaat…IRTIQA chahtee hay

SAB JHOOT HAY…
MAI BHI AUR TUM BHI…

Chal Jhooti :bailan:

mai ne tum se
kal kaha
jab tum se huaa mujhey pyaar
to boley
chal jhooti :frowning:

Oh Yaara Aik To U Ka Baat Baat Par Munh Latak Jata Hai Acha Sholli Na U Suchi Bas Aao Dosti Kar Lo Wapas Se Achay Bachay Kutti Nahi Hotay :hug:

ok :hug:

Nice :k:

:slight_smile: