Iraada

Chalo acha hua us ne mujhe saahil se hi lauta diya,
Wagarna mera to kashtiyan saari jalaney ka iraada tha

Macha deti hein phir halchal khyalon mein teri yaadein,
Warna tujh ko is dil se bhulaney ka iraada tha

Barri minnat samajat se wo zaalim shakhs maana hei,
jisey do chaar lafzon mein mananey ka iraada tha

Agar veeran shakhon per parindon ke na ghar hotey,
To ab sookhey darkhton ko jalaney ka iraada tha

Re: Iraada

achchhaa hii huaa dil TooT gayaa
luuNgaa na kabhii ab naam-e-vafaa!

yehii msg hai agar is Ghazal kaa to i GOT it! :D ;)

Re: Iraada

hanji :)

Re: Iraada

Agar veeran shakhon per parindon ke na ghar hotey,
To ab sookhey darkhton ko jalaney ka iraada tha

shukar hai prindon ka ehsas to hai

Re: Iraada

Barri minnat samajat se wo zaalim shakhs maana hei,
jisey do chaar lafzon mein mananey ka iraada tha

Agar veeran shakhon per parindon ke na ghar hotey,
To ab sookhey darkhton ko jalaney ka iraada tha
Bohat khoob

Re: Iraada

Thanks all :)

Re: Iraada

Agar veeran shakhon per parindon ke na ghar hotey,
To ab sookhey darkhton ko jalaney ka iraada tha

wah. :k:

Re: Iraada

To first shair ...

Bech denay ka sochna thaa ...donon terha se kashtiyon ne jana thaa ...why not earn some munafa!!!
Aik teer se dou shikar

Re: Iraada

mohabbat main nafa nuqsaan kahan soojhta hai

Re: Iraada

Aap kay baray mein kuch kaha nahin ja sakta na ...:)

Re: Iraada

kyon main aapko sood parast nazar ata hun?

Re: Iraada

HAZRAT ALI KA QOUL THA?
“MENE APNY IRADO,N K TUTNY SE ALLAH KO PEHCHANA”:snooty:

Re: Iraada

Theek ha

Re: Iraada

:yahoo: shuker hy pehly dafa sahi sahi ho gaya
abhi baqi hy kafi kuch:)

Re: Iraada

hanji, ghalit se :stuck_out_tongue:

Re: Iraada

ghalti se nahi lagta hy agly saal tak come back hojaega mera :(