"insaan kay wajood may do muqaam hotay hain..daata aur mangta...jo Allah ka banda ho jata hai woh surat kay aitbaar say bhi daata ho jata hai aur mano k aitbaar say bhi..is liye buzugan e deen farmaty hai sahibo! sawal mat bano jawab bano..."
haya, yeh jo humara Allah say faasla aa jata hai na, yeh seedhi sadak ki terha hota, yeh phaar ki trha hota hai is ko bhaag ker tay kerny ki koshish kero gi to jldi thak jao gi, jast lgao gi to dermiyaan may gir jao gi, urnay ki koshish kero gi to hawa saath nahi day gi"
yeh faasla baby steps say aboor kia jata , chotay chotay qadam utha ker choti per pohncha jata hai kabhi bhi dermiyaan may palat ker neechay uterna chaho gi to purani zindgi ki kashish saqal khench lay gi aur qadam uterty chlay jaye gay aur oper cherhna utna hi dushwaar ho ga mager her uper cherhty qadam per bulandi milay gi..so bhaagna matt, jast lganay ki koshish bhi na kerna bas chotay chotay achay kaam kerna aur choty chotay gunah chorr dena
"insaan kay wajood may do muqaam hotay hain..daata aur mangta...jo Allah ka banda ho jata hai woh surat kay aitbaar say bhi daata ho jata hai aur mano k aitbaar say bhi..is liye buzugan e deen farmaty hai sahibo! sawal mat bano jawab bano..."
hmmm...yeh kis busurg-e-deen kaa qaul hai? vaise, aisii baateN kahnaa aasaan aur karnaa mushkil...hai na? tarGheeb denaa aur talqeen karnaa ek baat aur us par dusroN se 'amal kii tavaqq'o rakhnaa ek qat'an hudaagaana baat hai.
Hawaa meN uR kar to tum USA se Pakistan pahoNch gaiiN…raaste meN na jaane kitne daryaa, pahaaR aur saHraa aaye hoNge…Nimra jii kii yeh baat to Ghalat saabit ho gaii
dusrii baat baby qadmoN kii hai…vo bhii Ghalat kiuN k kabhii ksiii baby ko mounteering karte huye dekhaa hai? baby ko Oxygen kii kamii hogii to vo doodh kii botal muNh meN kia oxygen mask haTaa ke lagaayegaa?
Yeh novel Mai se hai,Wese yeh tou sach hai ke kehne aur karne Mai farak houta hai.
to bas! ab merii likhii huii daanishmandaanah novels paRhaa karo...meraa pen-name hai...??? bataa duuN? :)