Iqrar-e-Wafa

Jagna raat ko ibadat hai
Teray bazo peh rakh keh sar apna
Yeh ibadat hai main ki aksar

Main nai dekha hai chandani ka safar
Main nai dekhi barat taroon ki
Chand ko seem tan quba pehnai

Main nai dekha keh teray chehray par
Noor sa hai haseen subhoon ka
Jis tarah so raha ho shehzada

Mujh ko yeh dukh hai keh jaan na payi
Teri aankhon kai surkh dooroon mein
Kis kahani ka khoon chalakta hai

Mujh sai dawa bhi hai muhabbat ka
Aur seenay mein sokhta aahain
Meray mehboob aa mujhay keh dai

Teri aankhoon say kirchiyan chun loon
Teray seenay pe rakh kay sar apna
Main tera sara dard seh jaon

Tou meri aankh mein bharay aanso
Apnay seenay pe aaj behnay day
Mujh ko dil bhar kay aaj ronay day.
[RIGHT]Shan.

** August.1987**

[/RIGHT]

Re: Iqrar-e-Wafa

Khoobsoorat tehreer hey Shahana :k: aur “peysh-kash” bhi umda hey :k: … Thanx for sharing it with us :slight_smile:

Re: Iqrar-e-Wafa

Very nice Shahana. I like it................thanks for sharing.

Re: Iqrar-e-Wafa

gud poetry

Re: Iqrar-e-Wafa

:k:

Re: Iqrar-e-Wafa

Bohat zabardast.....dil ko chhu lene waali feeling.....
*Thanx alottt for sharing.....:) *