Iqrar e wafa kerna aur mukar jana

Aawargi mein hum ne uss ko bhi hunar jana
Iqrar e wafa kerna aur mukar jana

Jab khwab nahin koi tou zindagi ka kya kerna?!?!
Her subha ko jee uthna her raat ko marr jana

Shab bhar kay thikaney ko ik chahat kay siva kya hai
kya waqt per ghar jana kya dair se ghar jana

Aesa na ho derya mein tum bargiran thehro
jab loag hon zyada tou kashti se uter jana

Jab bhi nazar aao gay hum pukarein gay tumhain
Chaho tou thehr jana …chaho tou guzar jaana

Re: Iqrar e wafa kerna aur mukar jana

Jab bhi nazar aao gay hum pukarein gay tumhain
Chaho tou thehr jana ...chaho tou guzar jaana

**
acha laga**

Re: Iqrar e wafa kerna aur mukar jana

V nice....

Re: Iqrar e wafa kerna aur mukar jana

Shab bhar kay thikaney ko ik chahat kay siva kya hai
kya waqt per ghar jana kya dair se ghar jana

per:

kiyun der gae ghar aae ho
sajni se karo ge bahana kia? :faizy:

Re: Iqrar e wafa kerna aur mukar jana

yehi k daftar mein kaam ziada tha

Re: Iqrar e wafa kerna aur mukar jana

sajni ne boss ko phone kar ke 2-4 suna deen to

Re: Iqrar e wafa kerna aur mukar jana

agar boss bhi shadi shuda hoa to chup kar k sun ly ga