Bahut hi door kaheen waadeyoon se yeh sada aaee
Ke jab tum pyaar karna tu iqraar mat karna
Ke jo iqraar karta hai ussay umeed hoti hai
Ussay umeed hoti hai kisi ke muskuraane ki
Kisi ke muskuraane aur phir nazrain jhukaane ki
Inhee jhukti huwi nazroo se us ke aah bharne ki
Woh jo iqraar karta hai ussay umeed hoti hai
Ussay umeed hoti hai kisi ke lab-kushaee ki
Kisi ke lab se pur-taseer harfoon ki rihaee ki
Kisi ke band hontoo se kisi madha saraee ki
Haan jo iqraar karta hai ussay umeed hoti hai
Ussay umeed hoti hai ke woh nakaam na hoga
Ussay umeed hoti hai ke woh badnaam na hoga
Ussay umeed hoti hai ke jo sapnay us ne dekhay hain
Woh sapnay aik din sharminda-e-tabeer honge
Woh sapnay jin mein us ne khud ko bahut masroor dekha hai
Woh sapnay jis mein us ne ek haseen chehray ko dekha hai
Woh chehra jis pe bal khaati zulfoon ka pehra hai
Woh chehra jis pe do aankhoon ka kaala rang ghehra hai
Woh chehra jis pe do hanstay huwe se lab hain
Hazaaroon phool barastay hain woh lab jab boltay hain
Woh lab jin se nikaltay huwe alfaaz jo sun lay
Woh bas ulfat mein par jaye hazaaroon khwaab woh bun lay
Kissay kaise bataayain us ke hai lehjay ka assar kya
Ke jaise ek diya tarekeyoon ko cheerta huwa
Ke jaise barsoon se pyasi kisi zameen pe baarish
Ke jaise sadeyoon se be-jaan jism per dam-e-Essa
Woh haseen aur woh khud ek chotay se ghar mein rehtay hain
Woh donoo choti choti batoon pe roz hanstay rehtay hain
Woh chota ghar ke jahaan har taraf khushiyan hi khushiyan hain
Woh chota ghar ke jahaan har taraf hi pyar ayyaaan hai
Yeh sapnay woh hi bunta hai jissay umeed hoti hai
Ke sapnay aik din sharminda-e-tabeer bhi honge
Magar aisa na ho tu phir
Agar aisa na ho tu phir
Woh sapnay toot jaayain tau
Woh gar nakaam ho jaaye tau
Woh lab na muskuraayain tau
Agar aisa na ho tu phir
Agar aisa na ho tu phir bahut takleef hoti hai
So jab tum pyaar karna tuk abhi iqraar mat karna
Ke jo iqraar karta hai ussay umeed hoti hai
Ke jo iqraar karta hai ussay takleef hoti haiā¦