Iqbal
kabhi ay haqiqat e muntazir nazar aa libas e majaz main
k hazaron sajday tarrap rahay hain meri jabeen e nayaz main
tu bachaa bachaa k na rakh esy tera aaena hai wo aaena
k shikista ho to aziz tar ha nigah e aaena saaz main
no wo ishaq main rahi garmian na wo husan main rahi shokhia
na wo ghaznawi main tarrp rahi na wo kham hai zulf e ayaz main
na kahen jahan main ama’an mili jo mili to kahan mili
meray jurm e khana kharab ko teray afo o banda nawaz main
jo main sarbasajood huwa kbi to zameen se anay lagi sadaa
tera dil to hai sanam ashnaa tujhe kia milay ga namaz main.