Re: Iqbal Day
...
Sung by Noor Jahan
*** Her lehza hai Momin ki nayi shaan, nayi aan***
Guftaar main, kirdaar main, Allah ki Burhaan
Qahari-o-ghaffari-o-qadusi-o-jabroot
Ye chaar anaasir hon tou banta hai Musalman
Hamsaya-e-Jibreel-e-Ameen, Banda-e-Khaaki
Hai iss ka nash-e-mann na *Bukhara**** na Badakhshaan***
is say jigr-e-lala main thandak ho wo shabnam
Daryaon kay dil jis say dehel jayen wo toofan
Ye raaz kisi ko nahin maloom kay Momin
Qari nazar aata hai, haqeeqat main hai Quran
:)