INTZAAR

EK NAZAM,
Kutch dinoon say sochta hoon ek baat
nhe ye ek baat nhe,ek ehsaas hey
nhe ye ehsaas bhe nhe ek lamha hey ye

wo lamha jis main shidut hey bharpoor shidut…terey saath guzrey houay lamhaat or
teray lums ke shidut…

                   sochta hoon es baat,ehsaas,shidut or teray lums ko yakja ker k
                   ek naam dey duon.......................................................................
                   kiya naam doun?
                   nhe tum kutch mut kehna.........yaad hey mujhay or vsooq say kehta
                   tumhey bhe yaad ho ga........................................................................

jum tum ney en tamaam lafzoon ka arq nichoor ker meray kaanoon main
sessay ke maanid undeala thaa.

                  MUJHAY CHOOR MUT DEANA

                  haan yhee khaa thaa tum ney...................bichartey houay

bamushkil teray halq say niklay houay wo ilfaaz ab ek…cheehk bun chukey hain
jis say phatar dil bhe dehal jaatey hain.

ye cheehk meray wajood ke dewaaroon say takra ker meree sayetoon per apni
grifat mazboot kernay k durpaa hain.

teree aankhoon, zubaan,or cheray per itni be basi or kurb aaj tuk nhe dehkaa thaa
magr???
tum say bichrtay houay main tum ko’gulay’lagaaney k siwa kutch na keh saka
Kyun k 'meree khmooshi’mearay lafzoon say kaheen ziyada mazboot hey.
tum bhe aashna ho es baat say…

jis trhaa chmkta soorj cheen leta ghnay pear ke perchaaie or loutaa deata
hey ugteay houat ghan chakar ko…
loutaana ho ga…haan loutaana he ho ga os ko meara sayaa bhe mhuj ko.

phir hum zum ker lain gay ek doojey main apni perchaaiyoon ko..k gumaan ho ga ek he sayee ka.

chaloo es baat,ehsaas,lamhey,shidut,ko yakjaan ker k ek lehar main behnay du…

ab esay,INTZAAR HE KEHNAY DU.

Re: INTZAAR

brought tears to my eyes
:lajawab: lovely

Re: INTZAAR

Bohat Aala.........SHAH G

Re: INTZAAR

thanx,,,ye tu aap ki muhabat hey

Re: INTZAAR

very nice :k:

Re: INTZAAR

:@: