Intezar

Tu apni zaat main gum hai
Main khud sey bay khabar hoon
Ek tanha sey shajar hoon
Behti naddi kay kinaray
Chulchalati dhoop main
Kab sey kharee hoon
Apni hi zidd par arree hoon
Tu kabhi aai sahi
Ek baar meray pass
Teray dil main ho ahsaas
Tou saye bichadoon gee
Suwagat main teray
Apni thakan saari bhuladoon gee
Tujhay thandi hawaa doon gee
Main kab sey muntazir hoon

Beautiful.....

thanks for sharing

:k::k:

Wah ji wah :k::k::k: