din, haftoo mein, haftay, mahenoo mein aur mahenay saal mein badal jate hain aur is dauraan kitna kuch hi badal jata hai siwae chand cheezoo ke jin mein se ek Intezaar bhi hai chahay kitna wakt hi guzar jae koi sa bhi mausam ho yeh intezaar peecha nahe chorta…
Saleem Kausar ke yeh nazm ‘Intezaar’ is tamaam kefeyat ko hi samoye huwe hai …
Mun aangan mein shehar basa hai, shehar mein ek dareya behta hai
Jis mein chand sitare darpan, kabhi na totne wale bandhan
Kaheen na bholne wali yadain, tooti phooti kuch fareyadain
Raushan din aur jhilmil raatain
Lafz adhooray, poori raatain
Lehroo per umadtay jazbay behtay jayein
Koi kahani kehtay hayein
Haray bharay pairoo per shakhain sayoo ki zanjeer banayein
Dareya mein aflaak nahayein
Ander ke sab bhaid kinare khultay jayein
Mun angan mein shehar basa hai
Shehar mein ek darya behta hai
Darya ki lehroo mein rastay
Rastoo mein an dekhay sapne khile huwe hain
Khwab, dhanak, khushbo aur chehre mile huwe hain
Taiz hawa mein deep samay ke jale huwe hain
Lekin shehar ke darwazay per
Bekhwabi ke dukh sukh orhay
Jane kis ki aas mein ankhain
Neendoo ka pehra deti hain