nazar nazar beqaraar c hai nafas nafas mein sharaar sa hai
mein jaanta hoon k tum na aao gay phir bhi kuch intezaar sa hai
mere azeezo, mere rafeeqo koi naee daastaan chero
gham-e-zamana ki baat choro, ye gham to ab saazgaar sa hai
kabhi to aao, kabhi to betho, kabhi to dekho, kabhi to poocho
tumhaari basti mein hum faqeeron ka haal kyoun sogwaar sa hai
chalo k jashn-e-bahaar dekhein, chalo k zarf-e-bahaar jaanchein
chaman chaman roshni hui hai kali kali par nikhaar sa hai