Re: Intezaar
Aaa ki meri jaan mein qaraar nahi hai
taaqat-e-bedaad-e-intezaar nahi hai
dete hain jannat hayaat-e-dahar ke badle
nashaa baa-andaaz-e-khumaar nahi hai
girya nikaale hai teri bazm se mujh ko
haay ! ki rone pe ikhtiyaar nahi hai
hum se abas hai gumaan-e-ranjish-e-khaatir
khaak mein ushshaq ki ghubaar nahi hai
tuu ne qasam mae-kashi ki khaee hai Ghalib
teri qasam ka kuch aitbaar nahi hai
By: Mirza Ghalib