Jiss morh par kiye thay hum ne qaraar barson
uss se lipat ke roye dewaanawaar barson
tum gulsitan se aaye zikr-e-khizaan hi laaye
hum ne khafas mein dekhi fasl-e-bahaar barson
hoti rahi hai yun to barsaat aasoo’on ki
uth te rahein hain phir bhi dil se ghubaar barson
Wo sang dil tha koee begana-e-wafa tha
karte rahein hain jiss ka hum intezaar barson
By: Sudarshan Faakir
Re: Intezaar
*kerte rahe hein jis ka hum intizar barso`N *
:k: aala
Re: Intezaar
Din guzar gaya aitbaar mein
raat kat gaee intezaar mein
wo mazaa kahan vasl-e-yaar mein
lutf jo milaa intezaar mein
unn ki ik nazar kaam kar gaee
hosh ab kahaan hoshiyaar mein
mere kaase mein kaaynaat hai
main hoon aap ke ikhtiyaar mein
aankh to uthi phool ki taraf
dil ulajh gaya husn-e-khaar mein
tum se kya kahein kitne gham sahe
ham ne be-wafa tere pyaar mein
fikr-e-aashiyaan her khizaan mein ki
aashiyan jalaa her bahaar mein
kis tarha ye gham bhool jaaye hum
wo juda huaa iss bahaar mein
*By: Fana Nizami
*
Re: Intezaar
Aaa ki meri jaan mein qaraar nahi hai
taaqat-e-bedaad-e-intezaar nahi hai
dete hain jannat hayaat-e-dahar ke badle
nashaa baa-andaaz-e-khumaar nahi hai
girya nikaale hai teri bazm se mujh ko
haay ! ki rone pe ikhtiyaar nahi hai
hum se abas hai gumaan-e-ranjish-e-khaatir
khaak mein ushshaq ki ghubaar nahi hai
tuu ne qasam mae-kashi ki khaee hai Ghalib
teri qasam ka kuch aitbaar nahi hai
By: Mirza Ghalib
Re: Intezaar
Muddat huee hai yaar ko mehmaan kiye huay
josh-e-qadah se bazm charagaan kiye huay
karta huun jama phir jigar-e-lakht lakht ko
arsaa huaa hai daawat-e-mishgaan kiye huay
Phir vazaa-e-ehtiyaat se rukne lagaa hai dam
barson hue hain chaak girebaan kiye huay
phir bhar raha huun khaamaa-e-mishgaan ba_khuun-e-dil
saaz-e-chaman taraazi-e-damaan kiye huay
ba_ham digar huay hain dil-o-deeda phir raqeeb
nazzara-o-khayal ka samaan kiye huay
dil phir tavaaf-e-kuu-e-malaamat ko jaaye hai
pindaar ka sanam_kada viraan kiye huay
phir shauq kar raha hai qareedar ki talab
arz-e-mataa-e-aql-o-dil-o-jaan kiye huay
daurhe hai phir her ek gul-o-laala par khayal
sad_gul_sitaan nigaah ka samaan kiye huay
phir chaahta huun naama-e-dil daar kholna
jaan nazar-e-dil farebii-e-unvaan kiye huay
maange hai phir kisi ko lab-e-baam per hava
zulf-e-siyaah rukh pe pareshaan kiye huay
***ik nau_bahaar-e-naaz ko taake hai phir nigaah*
chehra farog-e-mae se gulistaan kiye huay
phir jee mein hai ki der pe kisi ke parhe rahein
ser zer baar-e-minnat-e-darbaan kiye huay
jee dhuundta hai phir wahi fursat ke raat din
baithe rahein tasavvur-e-janaan kiye huay
Ghalib hamein na cherh ke phir josh-e-ashk se
baithe hain ham tahayya-e-toofan kiye huay
By: Mirza Ghalib
**
Re: Intezaar
Subhan Allah,,,,,,,,,,,,,,,,,, Buhat khoob Mir saheb,,, Buhat umda collection hai apki
Re: Intezaar
Bohat bohat acchi.....Thanxs for sharing.
Re: Intezaar
Shayad abhi hai raakh mein koee sharaar bhi
kyun varna itnezaar bhi hai iztiraar bhi
dhyaan aa gaya hai marg-e-dil-e-namuraad ka
milne ko mil gaya hai sakuun bi qaraar bhi
ab dhuund ne chale ho musafir ko dosto
hadd-e-nigaah tak na rahaa jab gubaar bhi
her aastaan pe naasiyaa farsaa hai aaj wo
jo kal na kar sakey thay tera intezaar bhi
By: Adi Jafri