Assalamo alaikum
NahiN Alami Sahibaa maiN ne wo sher iss lyie Arz kyia thaa keh Urdu seekhni chahiye..asaani se to hargiz nahIn aaigi aap Dilbardaashta na hoN..yeh ahisa ahistaa aa hi jaaigi inshallah AUR aiigi bhi kiouN nahiN..agar aapko shaqu hai to yaqeenan aaigi inshallah ..kioun Internet aj aik aissa mediaa hai jisske zariaa insaan apne Shauq ke mutaabiq taleem Hasil akr sakta hai.
Kehne ka bass yahi maqsad tha keh Urdu Zubaan Mushkil hai aate aate hi aaigi na
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
Aur LIllaah maiN ne kaabhi kissi baat ka bura nahiN manaiya..mujhey agar koi baar buri lage to maiN Tanz nahi kyia akrta saaf keh detaa hooN
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
MaiN aapke lyie aur doosr edoston ke lyie bhi Roman-Urdu mein hio post karne ki koshish akrooNga..
Aur Please wo jo gHalat-Fehmi ham dono ke darmiaan paidaa hogai hai ussko Muaaf kar dijyiega maiN mazrat Chaahtaa hooN (yaqeenan meri hi gHalati thi, keh maiN ne apni baat ko wazahat keh saath pesh nahiN kyia thaa ) lekin i promise you keh mera hargiz maqsad Tanqeed ya Tanz karna nahiN thaa..mujhey seekhne waale log acHey lagte hain aur kHaas taur per wo log jo kHud poocHte hain sharmaye aur jhijhke bagHair..yeh gHalat-Fehmi meri naadaani ki wajah se keh leiN ya meri kam-fehmi ki wajah se , jo bhi aap munaasib samjheiN lekin issko meri Niyaat na samjhiyega
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
niyaat emiN meri aissa har giz nahiN thaa.
Jazaakaallah
aur mujehy kHushi hai keh aap ne meri gHalati ki Nishaadn-dehi akr di
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
Umeed hai keh aap isske baad uss cHoTi si ghalati ko muaaf kar deingi main aaindaa Ehtiaat karooNgaa inshaallah
aap ke Shauq ko madd-e-Nazar rakhte huwe aapke Shauq ke Mutaabiq aik piyaara sa Sher Arz kartaa hooN..aur yahi Sher mere Dil ka Haal bhi hai ..Aap ki Nazar (shaiyad aap issko suNne ke baad meri nadaani Muaaf kardeiN
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
)
Urdu hai jiskaa Naam hamiN jaante haiN ‘DaagH’
HindustaaN meiN dhoom hamaari ZabaaN ki hai
Dagh Dehalvi ka Zamaana aur thaa aaj to younH kehnaa chaahiyee
Urdu hai jiskaa Naam hameiN jaante haiN “DagH”
Saare JahaaN meiN dhoom hamaari ZabaaN ki hai
Yaqeenan aap ne sahih kaha thaa keh haar kissi ka dil karta hai parhne ko aur kare bhi kioUN na aakHir SheeriN (meeThi) Zubaan jo hui
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
Boliye kaissa lagaa aapko Sher, pasand aaiya
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
**Ham Ehl-e-Qafas tanhaa bhi nahiN har roz Naseem-e-Subah-e-Watan
YaadoN se Mo`attar aati hai AshkoN se Munawwar jaati hai **
[This message has been edited by Tassneef (edited June 29, 2002).]