Insha ne phir ishq kiya
Apne ko hum is shehar meiN ruswa na kareN ge
ab tak jo hua khair ab aisa na kareN ge
wada hai keh ab aur na jalaayeN ge dil ko
nuqsaan hai is meiN to yeh suada na kareNge
taa shaam na un kuchoN meiN ghoomeN ge pareshaN
taa subha shab-e-maah mein jaaga na kareNge
har mod pe ThiThkeN ge na dewaanoN ki surat
har mod pe tujeh jaa ke pukaara na kareNge
likheN ge kisi aur hi unwaan ki nazmeiN
ghazaloN mein is bat ka charcha na kareNge