Manzil ka khawab dekha tu rastay hi soo gai
**andhi chali kuch aisi k apnay bhi kho gai **
uthta hai teri bazam saay yoon khakoon ka shor
lagta hai meray zakham main kankar samoo gai
jin doobtay huwoon ko lagaya tha main naay par
kisi dushmani saay woh meri niya dabo gai
uss ki khusi ki wastay dil main dabaya dard
ansoo bhi meri ankhoon main phatar k ho gai
gin saay taluqat par ik fakhar tha hamain
janay kiyoun meri ankhoon main ansoo paroo gai
ashkoon ki aag saay yeh pighaltay nahi suhab
**Insan meray ahad main pathar k ho gai **