Re: Insan kab marta hai?
are nahiiN…har kisii shaa’ir se log bhaagte haiN…ek sachchhaa waaq’ia sunaataa huN:
ek baar mujhe ek shaa’ir saaHab se train station ke ek tea stall par huii…kahne lage k aapkii urdu se gumaan hotaa hai k aapko shaa’irii se yaqeenan zauq o shauq hogaa…maiN ne kahaa k bas sunaane kii Had tak hai…bole…mujeh bhii magar aap pahle merii suneN phir maiN aapkii sunuuNgaa…
…udhar se ek train aayii to maiN ne kahaa k Huzoor aapkii train aa gaii…to bole…ise jaane dete haiN maiN aglii train se aap waali train se chaluuNgaa…saath rahegaa, waqt nafees guzregaa…
…maiN ne jald se yeh kahaa aur bhaag khaRaa huaa k:
janaab mujhe isii train se jaane deN aap agli waali se aaiyegaa!!! ![]()