Ghalib said:
Zindagi kya hai anasir mein zahur-e tarteeb,
Maut kya hai inhi ajza ka pareshan hona
Wo kon se ajza hai, jin ke pareshan hone se insaan mar jata hai?
Ghalib said:
Zindagi kya hai anasir mein zahur-e tarteeb,
Maut kya hai inhi ajza ka pareshan hona
Wo kon se ajza hai, jin ke pareshan hone se insaan mar jata hai?
Re: Insan kab marta hai?
Eik hee ajza hai aur woh hai maut ka farishta jub woh aata hai aur kehta hai "Insha jee utho aab kooch karo" toh sub ajza khatam ho jatey hain
Re: Insan kab marta hai?
aap ne Ustaad Amanat Ali ko maut ka farishta bana dia
Re: Insan kab marta hai?
jab ap apni roh se nahi mil paate to esi dunia mi apki mout ho jate hy
Re: Insan kab marta hai?
abhii abhii aamad huii aur yeh she'r ho gayaa:** :)
maut kia hai? iskaa samajhna hai aasaaN, jaanaaN!
ba_Hukm-e-Ilaahii, rooH kaa tan se judaa ho jaanaa**
Re: Insan kab marta hai?
idher to marnay ki baatain hoing ![]()
Re: Insan kab marta hai?
tum bhaagoo yahaN se varna tumko maut kaa farishta pakaR legaa kiuN k:
** vo to phirte haiN idhar kuch din se aazaad bahot!
**
[na’oozobillah!]
Re: Insan kab marta hai?
Pakar le phir to yahin rehna chahiye ![]()
Re: Insan kab marta hai?
marne kaa itnaa shauq o zauq kiuN? agar itnaa shauq hai to Gabbar ke aDDe pe jaao! vahaN 4 goliyaan haiN aur aadmii sirf 3 [including kaaliya!]
Gabbar chauthii tumhaare naam kar degaa Khushii Khushii! ![]()
Re: Insan kab marta hai?
mout yahin aa jaye gi kaheen janay ki kya zaroorat ![]()
Re: Insan kab marta hai?
nahiiN, kisii kii maut vahiiN aatii hai jahaN uskii maut likhii hotii hai…isii liye, insaan vahaN khiNch ke chalaa jaataa hai! ![]()
Re: Insan kab marta hai?
phir mujhe wahan kiyon bhej rahey they ![]()
Re: Insan kab marta hai?
Lekin Saamba
Ab Goliyon ko zang lag chuka hai
Ab tera kiya hoga kaaliya???![]()
Re: Insan kab marta hai?
vo is liye yahaN intizaar bahot der se kar rahii ho aur tumhaaraa intizaar udhar Gabbar Singh ke aDDe pe ho rahaa ho! ![]()
Re: Insan kab marta hai?
zang lagne se goli kaa vazan ziyaada ho gayaa hai…bhaarii goli lagegii to kaam tamaam honaa yaqeenii hai! ![]()
Re: Insan kab marta hai?
aap ko ghaib ka ilm thora hai ![]()
Re: Insan kab marta hai?
Insaan kahan marta hai
larkiyaan use maar deti hain
Yeh dil bhi kiya cheez hai jana
**Yeh aaj tak Hum ne na jana:crying: **
Re: Insan kab marta hai?
Ghalib said:
Zindagi kya hai anasir mein zahur-e tarteeb, Maut kya hai inhi ajza ka pareshan hona
Wo kon se ajza hai, jin ke pareshan hone se insaan mar jata hai?
is ka jawab koe nahin dy raha
Re: Insan kab marta hai?
zang lagne se goli kaa vazan ziyaada ho gayaa hai...bhaarii goli lagegii to kaam tamaam honaa yaqeenii hai! :D
Lekin thakur
Goli phans gai to???
Re: Insan kab marta hai?
is ka jawab koe nahin dy raha
Nahi
Aap k liye rakh chora hai:)