Qudrat ka ajeeb yeh sitam hai*
Insaan ko raaz ju banaayaa!
Raaz uss kee nigah say chupaaya
Baytaab hay zoq Aagahi kaa
Khulta nahiN bhaid zindagi kaa
Hairat-e-Aaghaaz-O-Intehaa hai
Aainay kay ghar maiN aur kiyaa hai?
Hai garam khuraaam Mauj-e-dariyaa
Dariyaa soo’ey Beh’r Jadah-e-paimaa
Badal ko hawaa uRRaa rahi hai
ShaanouN pay uTThaaey laa rahi hai
Taaray mast-e-sharaab-e-taqdeer
Zindaan-e-Falak maiN paa ba zanjeer
Khursheed, woh Abid-e-Seh’r Khaiz
Laanay waalaa piyaam-e-“bar khaiz”
Maghrib kee pahaaRiyouN maiN chup kar
Peetaa hay ma’y shafaq kaa saagar
Lazzat Geer-e-Wajood har shay
Sar Mast-e-Ma’y Namood har shay
Koie nahiN Ghumgusaar-e-InsaaN!
Kiyaa talkh hai Rozgaar-e-InsaaN!
**
– Allama Iqbal (Baang-e-Dara)