Ghuncha-e-Gul!
ik phool!
phool! kay jiss kii pankhaRRiyouN main
ik daastaaN hay
pinhaaN ik raaz hay
musaafatouN kee museebatouN kaa
humm safarouN kee
baghaawatouN kaa
manzil kee aas maiN
rehnumaa dostouN kee
mohabbattouN kaa
phool!
kay manzil tukk pohanchnay say hee pehlay
jiss kee daastaaN ho gaie gumm naam
uss kay ander!
ik ansoo thumm saa gayaa hay
ye aansoo kissi qabar ko bhee
sairaab kar saktaa hay
aur kissi kay dil ko
momm bhee kar saktaa hay
iss anmol aansoo kee qismat
abb iss kay apnay muqaddar maiN nahiN
jo manzil phool kee hay
abb ussi rah par gaamzan
iss aaNsoo kay muqaddar kaa
samander rawaaN hay!
phool!
ik dost! ik saathi!
ye bhee sookh jaayee gaa
aisay hee jaisay dost rooTTh jaatay haiN
aisay hee jaisay dost bhool jaatay haiN
aisay hee jaisay!
dost, dost ko samajh nahiN paatay haiN
phool!
ik din sookh jaaye gaa
zeenat kissi kee lah’d kee bann jaaye gaa
insaan aur phool!
ik tasveer
do rukh!
insaan bhee ik phool hay!
ik din mar jaye gaa!
— By a friend: Anwar-ul-Islam Qureshi