kis takabbur se ye kashaan banaya tu ne
aaik barbaadi ka samaan banaya tu ne
phool bhi khaar ko daman main liye khilte hain
zindagi dard ka unwaan banaya tu ne
be gunah shama se parwane kaai jalte hain
hasrate dil kahaan aasaan banaya tu ne
dashat ban jaata hai umeed ka dariya thak kar
be waja Aaas ko tufaan banaya tu ne
pathroon main bhi tera akas bana leta hai
kitna naadaan ye insaan banaya tu ne
koun batlaaye sakoon kis ko kaha jaat hai
har bashar gham se pareshaan banaya tu ne
hum to jee bhar ke bhi duniya main nahi jee saktey
do ghardi ka humain mehmaan banaya tu ne