wafa kee jheel say bhaga hoa majbor qedi hon
agar dil ke adalat main tumhain mera khayal aay
tu mujhay yaad kay dhondlay katheray main talab karna
meray lafzon,mari baton ko dil he dil main dohrana
tu phir shayad tumhain koi porana naqsha mil jay
jo mari begonahi ke adlat main gawahi day
yahi mari tamana hay kay tum mujh ko wohi samjho
jo menay tumhain samjha hay, tumhain aab taak samjhta hoon
mari derina sathi ho, tumhain tu yee khabar hoo gee
kay main apni safai main kabhi bhi kuch nahin kehta
agar phir bhi kise pehlo say main ,mujrim, nazar aaon
tu wafa kee rah main nadan samjhkar darguzar kar dena…
Re: Insaaf
nice one 007 thanks 4 sharin with us :)