inqalaab..

ham log
daaeroN mai chaltay haiN
daaeroN mai chalnay say
daaeray to bharrhtay haiN
faaslay nahi ghaT-tay
aarzuain chalti haiN
jis taraf ko jaatay haiN
manzilaiN tamanna ki
saath saath chalti haiN
gard urrti rehti hay
dard barrhta rehta hay
raastay nahi ghaT-tay
subah-dam sitaaron ki taiz jhilmilahat ko
roshni ki aamad ka paish baab kehtay haiN
ik kiran jo milti hay, aaftaab kehtay hain
daaera badalnay ko inqalaab kehtay haiN

Amjad Islam Amjad

hayaa jee...

beautiful... after a long time there is something from you.... thanks for sharing....

Sweet.

:k::k::k:

Re: inqalaab..

sach kaha :k: …

wah je wah!!!:k::k:
thanks:)

very nice :k:

nice… :k::k::k:

Buhat Khoob :k:

very nice

bahut khoob!