Inqalaab ( Aik Nazm)

Tasleem

1992 Mai Babari masjid ki shahadat aur uss k bad honay walay fisadat say muta’assir hokar likhi gyaee aik taveel nazm say iqtibaas:

ibtelaa ka daur hai
ik shor hai
har ik aduu khanjar bakaf
hum mehv e khuwaab
dushman ba shakl e dostan
dhoka saraab

khaili hamaray Khoon say holi
Magar hum chup rahay
Jushn e charaghaaN yuuN kiya
PhooNkay hamaray baam o dar
Hum chup rahay

Masjid ko tauraa – chup rahay
Ghar bhi jalay chup rahay
kitnay jawan maray gayay
Ghaddar bhi kehlay hum
phir chup rahay

Ab aan par hai aa pari –
Eeman par hai aa pari
behno ki izzat muntazar
MaaoN k nalay muntazar
BachcoN ki cheekhain muntazar

Yeah khamshi ab bi agar
tooti nahee to jaan lo
izzat tumahri jayegi
ghairat tumhari jayegee
namoos e muslim jayegi

anjaam aisa chahiyay?

dharti ka seena cheer do
niklo missal e aaftaab

chamkay tumhari taigh to
Dushman ki Kheera ho Nazar
Jhuk kar qadam choomay aduu
jiss jaa tumhara ho guzar

tum hi ameen e badr ho
tum hi ameen e uhud ho
tum waris khatmur Rusul
hasnain k wali ho tum

hum amn k shaidaee hain
bay shak yeah sach hai sahebo
lekin jab apni hi zameen
hojayay hum par tung to
lana parega inqalaab

aap ki aaraa ka muntazar

Mirza Ruswa

wahhhhhhhhh bhut hi zaberdastt nazm ha mirza ruswa ji :k:
thxs 4 sharing :slight_smile:
:

Beautiful.... thanks for sharing.....

bohat khoob :k:

:k: thanks 4 sharin unkle je..

wah wah:k::k:
thanks for sharing:~)

Thnx for sharing:k:
:flower1:
keep posting more:)…

[QUOTE]
*Originally posted by Mirza Ruswa: *

anjaam aisa chahiyay?

dharti ka seena cheer do
niklo missal e aaftaab

chamkay tumhari taigh to

Dushman ki Kheera ho Nazar

Jhuk kar qadam choomay aduu

jiss jaa tumhara ho guzar

tum hi ameen e badr ho
tum hi ameen e uhud ho
tum waris khatmur Rusul
hasnain k wali ho tum

hum amn k shaidaee hain
bay shak yeah sach hai sahebo
lekin jab apni hi zameen
hojayay hum par tung to
lana parega inqalaab

aap ki aaraa ka muntazar
Mirza Ruswa
[/QUOTE]

Bohat hee khoob Shaam Sahab, achi soch laaye hain,

Ab waqt aa gaya keh bedaar Musalaam ho
Magar ...
Kuch uljhanaiN haiN...
Kuch pareshaaniaaN haiN...
Kuch sawaal haiN...

Kia hum muttahid haiN?
Kia hum eik haiN?
Kia hum itnay mazboot haiN keh dushman ka saamna ker saktay?
Kia usko uskay mazmoom iraday say baaz rakh saktay?

Yeh sub osee waqt mumkin jab hum eik ho JayeN...

Shayed abhi bhi kuch nahee bigRa shayed ...

Khuda os Qoum ki haalat uswaqt tak nahee badalta jab tak usay khud hosh naa aaye...

Aaiye haath uThaayaiN ham bhee
Ham jinhaiN rasm-e-dua yaad naheeN
Ham jinhaiN soz-e-mohabbat kay siwa
Koi but, koi Khuda yaad naheeN

Re: Inqalaab ( Aik Nazm)

Mirza saheb intehaai pur’asar nazm hey. Har
musalamaan hi kar aek soch ke aek nazm meiN bayaan
kar dia gaya hey. DiloN par yaqeenan asar-andaaz
honi waali nazm hey, lekin pata nahi hamaarey
seenoN meiN jo dharraktey heiN wo dil hi heiN!
Anyway, aek intehaai la-jawaab kaavish.:k:

Nawazish

Salaam

Nikii jee, Dilsay saheb, Hamari bhateji Mah ( chand chehra), Paglee jee,
Ghazal kisi ke jee aur toota aasman (Broken Sky) saheb

Aap sab ki inayat ka shukr guzaar hoon aur dua gau bhi iss quom k liyay k :

shayad k utar jayay teray dil main meeri baat.

AAY KAASH!!!!!!!!!!!

LANA PArEGA INQALAAB

WASSALAM

Mirza Ruswa

aay kaash!!

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

Bohat hee khoob Shaam Sahab, achi soch laaye hain,

Ab waqt aa gaya keh bedaar Musalaam ho
Magar ...
Kuch uljhanaiN haiN...
Kuch pareshaaniaaN haiN...
Kuch sawaal haiN...

Kia hum muttahid haiN?
Kia hum eik haiN?
Kia hum itnay mazboot haiN keh dushman ka saamna ker saktay?
Kia usko uskay mazmoom iraday say baaz rakh saktay?

Yeh sub osee waqt mumkin jab hum eik ho JayeN...

Shayed abhi bhi kuch nahee bigRa shayed ...

Khuda os Qoum ki haalat uswaqt tak nahee badalta jab tak usay khud hosh naa aaye...

Aaiye haath uThaayaiN ham bhee
Ham jinhaiN rasm-e-dua yaad naheeN
Ham jinhaiN soz-e-mohabbat kay siwa
Koi but, koi Khuda yaad naheeN
[/QUOTE]

AAh

Mohtram bahee WiseGuy saheb
Aadaab p tasleemat

Bakhuda aap nay jo sawalaat uthhayay wohi meray zehn ko bhi kachokay Lagatay hain.
Ittehad bain al Muslimeen aik masaa'la ban gaya hai jab k islam ki bunyadi taleem hi Ittehad hai.
KalamuLLAH main issi ittehad k liayay hukm diya gaya hai lekin dekhiyay kiya tamasha hai k sab say ziyada tafarqa Ussi KalamuLLAH ko mannay aur bazo'm e khud amal karnay waloN main hai.
Yeah aik almiyaa hai iss qoum ka
Lekin kab tak????
kiya waqt nahee aagaya k aapsi jhagRoN aur tanaaze-aat ko bhulaa kar
Qoum apnii baqa k liyay uthh khaRi ho?
Yeah baqaa ka sawaal hai apnay wujood ko qayam rakhnay ka Yeahi aik hal hai ITTEHAD BAIN AL MUSLIMEEN

Baqol e Hakeem ul ummat shayer mashriq Allama doctor sir mohammed iqbaal ( lafzi taghayyur k sath)

Na samjhogay to mit jaa-ogay tum bhi aay Musalamaano
Tumhari dastaaN tak bhi na hogi dastanoN main

Shayad k utar jaayay teri dil main meri baat !!!

Shukr guzaar hoon aap ka iss dard e qoumi k liyay aur nzam ki pazeeraee k liyay

Wasslaam

Mirza Ruswa

Re: Re: Inqalaab ( Aik Nazm)

Amal Saheb
Aadaab
Intehaee Shukr guzaar hooN aap ki iss pazeeraee ka!

Kitni sachchi aur Talkh haqeeqat aapnay bayan ki
** lekin pata nahi hamaarey seenoN meiN jo dharraktey heiN wo dil hi heiN! **

Kiyunkay dil agar hoga to phir dard bhi hoga
aur dard o ehsaas shayad mar chuka hai

aik hi baat arz karoonga:

Ehsaas paas thha to gunahoN say door thay
Ehsaas mar gaya to gunehgaar ho gayay
Duniya hamen nigaah say kitna girayegee
ITNAY HUWAY ZALEEL K KHUD DAAR HOGAYAY

Wassalaam

Mirza Ruswa