Innah Lillah

Re: Innah Lillah

**astaGhfirullah...jihaalat aur paagalpan kaa itnaa buraa nateeja. Allah Gharatgar-e-insaaniyat ko Ghaarat kare, nest o naa_bood kar de...maah-e-ramzaan men jannat kii koshish karne ke bajaaye jahannam Khareed li. mujhe is waqt be_Had Ghussa aa rahaa hai in qaatiloN par kiuN k maiN ne bhii yeh sab bahooot dekhaa hai...Khaandaanii dushmani kaise jaan-levaa hotii hai.

Allah majrooHa ko seHat e kamaila o aajila de aur unko sabab banaaye taa k qaatil pakRe jaayeN aur unheN saKht se saKht sazaa dii jaaye [mujhe to is baat kaa bhii Dar hai k pakRe bhii gaye to kia hogaa? rishwat khilaa ke chhoooT jaayeNge aur kia...par, Allah kii 'adaalat men to unke haath paauuN gawaahii deNge, insha Allah. aur vo din unke liye bad-tareen saabit hogaa, insha Allah]**