inn jheel si neeli aankhoa’n mei lehraye kanwal kyoun yaadoa’n ke
tu beetey dinoa’n mei qaid hai kyoun, ye kaam nahi azaadoa’n ke
kis khawab ke peechey bhaagi tu, kis nagri mei barbaad hui
jo tor gaye hain dil tera, kiya naam the unn shehzadoa’n ke
be-mausam tere aanghan mei barsaat ka mausam kyoun aya
tu saath kahaan se le ayii ye badal sawan bhadoa’n ke
jo hona tha so ho bhi chuka guzre huey kal ko bhool bhi ja
chat jayein ge aahoa’n ke badal, katt jayein ge din faryaadoa’n ke
so baar Qateel mohabbat se taktey hain dar-o-deewar hamey
ham se hai nikhaar makanoa’n ka, hum pathar hain bunyadoa’n ke
By: Qateel Shifayi