Inkishafaat
-
Woh bairon-e-mulak gaya to apni mehbooba ko din mein do do khat likha karta tha. Waapsi par pata chala kay mehbooba nay daakiyey sey shaadi kar lee hai.
-
Cigarette ki talab ho rahee ho to woh apnay dost sey poochta hai kay kiya tumharay paas cigarette hai? Agar jawab haan mein ho to woh apni dabbee nikaal kar kehta hai chalo phir apna apna peetay hain.
-
Jin miyan-biwee ki aapas mein kabhi nahin bantee unkay bachon ki tadaad subsey zaada hoti hai.
-
Woh itnaa kaala hai kay jub bhi kisi hotel per jaa kar kehta hai kay khaana lao to aagey sey jawab milta hai pehley kalma sunao.
-
Bay-shumaar jangein aslahay ki kharabi ki wajah sey haari jaati hain.