Inki sadaayon say bachna

**Inki sadaayon say bachna
**

Yeh nafarat ki hawaaon pay palnay waalay
Ki mazhab jinkay hamesha khatray main haiN
Apnay khyaaloN ko pahnaai hai khud salaasil
Aur Dil quaid-tanha bahut kurakhat pehray main haiN

Ki jnooN nay jinkay pehna hai mazhab ka naqaab
Gunah-I-Qatl bhi jinko lagta hai swaab
Inki sadaayoN say bachna meray azeezo!

Yeh nanhay haathoN main baNdookayN day kar
Unkay zehanoN main zehar ki fasal bo daiN
Aur Yeh farda ki umeedaiN
Phir bun jaayaN imroz ka khauf

Apnay bemaar khwaaboN ko haqeeqat ka pa_irhun dainay kay liayay
T_aasub ka zahar baant rahay haiN yeh is daur kay masihaa
Apni garmjoshi aur qumaqali kay sabub-
Yeh maazi kay sach ko bana daiN haazir ka faryub
Nafrat kay numaiNday haiN
Yeh mazaahib kay agwaai
Yeh shaitaan ki khufia fauj
Ghoom rahi hai har dil-o-zehan kay galiyaaroN main
Inki sadaaoN say bachna maray azeezo!

Chinaar-qud pyaam agwaa kar liyay
BonoN ki is jmaat nay
Kabhi hindu to kabhi muslmaN bun kar
Kabhi sikh to kabhi isaai ki shaql main
Is jmaat nay phaiNka hai
Tamaddun pay apna jaal
Aur khauf kay is kohray main har baar
KitnoN kay azeez la-pata ho gayay haiN
Inki sadaaoN say bachna maray azeezo!
Inki sadaaoN say bachna maray azeezo!


Poet: Brijinder “Sagar”
Location: Auckland, New Zealand

http://shayriworld.com/forum/iloveniz/misc/progress.gif

http://shayriworld.com/forum/iloveniz/buttons/edit.gif

Re: Inki sadaayon say bachna

buhat khoob , thanks for sharing.

Re: Inki sadaayon say bachna

The real haasil of this poem will be it it manages to make the readers think n make them,especially the young ones,reexamine their value systems n take out the poisonous weeds of hatreds n mistrusta sown by the politicans n religious leaders,hindus,muslims,sikhs,christians alike.
Regards
brijinder"Sagar'