inkaar main iqraar ki baat aa hi gayi hai

*inkaar main iqaraar ki baat aa hi gayi hai
baaton main ghm-e-yaar ki baat aa hi gayi hai

aayaa hai kabhi zikr agar daar-o-rasan kaa
gesuu-va-qad-e-yaar kii baat aa hi gayi hai

jab surkhi-e-gul_shan kaa kabhi zikr huaa hai
tere lab-o-rukhsaar ki baat aa hi ga_i hai

dhoondhtaa hai agar zakhm-e-tamannaa ne mudaavaa
ik nargis-e-beemaar ki baat aa hi gayi hai

mil baithe hain zindaan main agar shaam ko ahabaab
tere dar-o-deevaar ki baat aa hi gayi hai

chhedaa hai koi talkh fasaanaa jo kisi ne
sheereeni-e-guftaar ki baat aa hi gayi hai *
**
~*****~
Mazhar Imam
*~*****~

Re: inkaar main iqraar ki baat aa hi gayi hai

Bhot KhOOB

Re: inkaar main iqraar ki baat aa hi gayi hai

Shukriya janaab.

Re: inkaar main iqraar ki baat aa hi gayi hai

wow - great!