**Mange hai mujhse dil teri sari nishaniyan
Baatain puraniyan,wohi raatain suhaniyan
Ankhon main gholti hain nashay ki shararatain
Chalaak chandni main chehakti jawaniyan
In per to qarz hain mere harfon ke zaikay
Ab jin ko a gayin bari baatain bananiyan
Aay ishq Aa ke phir se koi tajurba Karen
Main bholnay laga hoon purani kahaniyan
Wo tere qeh-qahe the ke jaisay hajoom main
Tooti kalaiyun main khanakti kamaniyan
Ik tere roothne se fiza hi badal gai
Ab shehar bhar main phel gayin bad-ghumaniyan
Mohsin ko kuch to hada-e-sitam ka suragh de
Kab tak rakam karun main teri meherbaniyan ?
**